Bashir Badr Shayari

Akhiri Saya Hai Mohabbat

Bhigi huyi aankhon ka yeh manjar na milega
Ghar chhod kar mat jaao kahin ghar na milega,

Fir yaad bahut aayegi julfon ki ghani shyam
Jab dhoop mein shaya koi sar par na milega,

Aansu ko kabhi os ka katra na samjhana
Aisa tumhe chahat ka samander na milega,

Love Shayari - Related to: ,
Leave a Comment

Dil Chamkne Lagta

Baat kya hai ke mashoor logon ke ghar
Mout ka sogh hota hai tyohar sa,

Jina jina utarta hua aaina
Uska lahja anokha khanak dar sa,

Woh aligad ki shamein kahan kho gayi
Ab woh shayar kahan hai tahardaar sa,

Apna range gajal uske rukhsar sa
Dil chamkane lagta hai rukhe yaar sa…

- Basir Badr

Sad Shayari - Related to: ,
Leave a Comment

Dhoop Ki Khusboo Kahan Hogi

Pasina band kamre ki umas ka jajb hai usmein
Hamare touliye mein dhoop ki khusboo kahan hogi,

Kisi gumnam pathar par bahut se naam likh doge
Toh kurbani hamari is tarah se javidaan hogi,

Jamine toh meri apno ne sari ganva di hain
Magar yeh ek muthi khak khud apna nishaa hogi,

Samander buddhe ho jaayenge aur ek fahisha machhli
Hamare shahilon aur jamgalon ki hukmaran hogi

- Basir Badr

Sad Shayari - Related to:
Leave a Comment

Ghar Sajaya Gaya

Is tarah saath nibhana hai dushwar sa
Main bhi talvar sa tu bhi talvar sa,

Khubsurat si paanvo mein janjirein ho
Ghar mein baitha rahu main giraftar sa,

Gudiya bachhe ko becha kharida gaya
Ghar sajaya gaya raat bazar sa,

Sad Shayari - Related to:
Leave a Comment

Kise Maalun Tha

Agar main lotna chahu toh kya lout main sakta hu
Woh duniya sath jo mere chali thi ab kahan hogi,

Parinde apni chonchon mein sab taare chhupa lenge
Jawani char din ki chandani hai fir kahan hogi,

Hawayen royengi sar fod lengi in pahadon se
Kabhi jab badlon mein chand ki doli ravaa hogi,

Kise maalun tha hum log ik bistar par soyenge
Hifajat ke liye talvaar apne darmiyan hogi…

- Basir Badr

Sad Shayari - Related to:
Leave a Comment

Aankh Bhar Aayi

Dil chhalak utha aankh bhar aayi
Aaj t.v par woh khabar aayi,

In dukho mein teri yaad bhi kya
Jaisi titali pahad par aayi,

Apni maa ki tarah udas udas
Beti shadi ke baad ghar aayi,

Ab toh main bhi najar nahi aata
Ya khuda konsi dagar aayi,

Tumne jo kiy asarafat mein
Woh nidamat bhi mee sar aayi…

- Basir Badr

Sad Shayari - Related to: ,
Leave a Comment