Exclusive Shayari
Kuchh To Jarur Huaa
Kuchh To Jarur Huaa Hai Wo Aise Badal Nhi Sakte,
Wada Karke Wade Se Mukar Nhi Sakte,
Itane Nazuk To ’Kumar’ Tere Khwab Nhi Hai,
Jo Sheeshe Ki Tarah Tutkar Bikhar Nhi Sakte….
- Ghanendra Kumar Bamaniya
Pyar Ke Zakhm
Gehrayi Pyar Me Ho To Bewafai Nahi Hoti,
Sache Pyar Me Kabhi Tanhai Nahi Hoti,
Pyar Jara Sambhal Ke Karna,
Pyar Ke Zakhm Ki Koi Dawai Nahi Hoti….
- F@!$@L
Sach To Sach Hai – Ghazal
Doosron K Khayalon Mein Seindh Laga Lete Hain Log,
Daaon-Peinch K Dum Pe Khud Ko Azmad Bana Lete Hain Log,
Tune Munh Kaya Phera Sabhi Sapne Hue Kaafoor,
Saanjh Dhale Jaise Chhat Se Kapde Utaar Lete Hain Log,
Yaadon Mein Uljhe Aksh Na Ghat-Te Hain Na Badhte Hain,
Anjaan Bastiyon Me Bhi Dil Laga Lete Hain Log,
Wo Aankhe Chahte Hue Bhi Kuchh Na Keh Saki,
Rivazon Ki Duniya Me Mushkil Me Phasa Dete Hai Log,
Sach To Sach Hai Jitna Hai Utna Hi Rahega,
Jhoot K Daayere Ko Badha-Ghata Lete Hain Log….
- Dev Arjun
Khuda Ne Farebi
दरिये ने भी क्या ख्वाइश की है,
आँखों को शर्म आये कुछ ऐसी बात की है |
होठों पर मुस्कान दिल बहला देती लेकिन,
कातिल है ‘मसरूर’ उसकी नज़र ने मोहब्बत की बात की है |
सच तो कह ज़रा आइना रोज़ बदलता है,
टूटे हुए शीशे ने आज ज़िन्दगी की बात की है |
बेवफाई का ज़माना किसे अपना ना समज,
मस्जिद में आज खुदा ने फरेबी की बात की है |
- Masroor
Lafzo Mein Khamoshi
Kaun Kehta Hai Khamoshiya Kamosh Hoti Hai,
Khamoshiyo Ko Khamoshi Se Suno,
Kabhi-Kabhi Khamoshiya Vo Keh Deti Hai,
Jinki Aapko Lafzo Mein Talash Hoti Hai…
- Honey
Kya Hoti Hai Zindagi
Badi Jaani Pehachani Lagti Ho Tum,
Kabhi Badi Anjani Lagti Ho Tum,
Kya Bataye Tumhe Ae Zindagi,
Kitni Bemani Lagti Ho Tum,
Jeete Hai Jiske Liye, Usi Ke Liye Waqt Nahi,
Hazaar Khushiyan Hai Daman Me Per Muskurane Ke Liye Waqt Nahi,
Kabhi Hum Yuh Bhi Socha Karte Hai Ae Zindagi
Kya Hoti Hai Yeh Zindagi…
- Ritesh Modi

