Funny Shayari
O God तू अपरम्पारा
O God तू अपरम्पारा
करो बेडा पार हमारा
My Boat फंसी मझधारा
please give me some सहारा
I don’t have any किनारा
नहीं दिखता कोई नजारा
Please take Fastly ANy action
मैं बिकता खड़े बजारा
O God तू अपरम्पारा
करो बेडा पार हमारा
please give me some power
मैं बन जाऊं चाँद सितारा
मेरी विनती सुन लो GODA
मैं लेता नाम तुम्हारा….
- Rawal Kishore
Ek Imtihan
Zindgi Ki Har Ek Udaan Baaki Hai
Har Mod Pr Ek Imtihan Baki Hai
Abhi To Sirf Aap Hi Pareshan Hai Mujhse
Abhi To Pura Hindustan Baaki Hai…
- Nishant Sharma
Baayi Aankh Se Pareshan
Main Ek Seedha Sadha Insan Hu
Par Main Apni Baayi Aankh Se Pareshan Hu
Jab Bhi Main Kisi Ko Dekhta Hu Meri Baayi Aankh Chal Jati Hai
Bachpan Ka Ek Kissa Suniye, Ye Baat Hai Bachpan Ki
Meri Class Me Padhti Thi Rekha Maine Usko Dekha
Meri Baayi Aankh Chal Gayee
Wo Uchhal Gayee Machal Gayee, Aur Kaksha Se Nikal Gayee
Principal Madam Ka Bulawa Aaya
Unhone Mujhe Lamba Chowra Bhashan Pilaya
Isse Pehle Ki Wo Mujhe Aur Kuch Keh Paati
Meri Baayi Aakh Chal Gayee
Unhone Mujhe Vidyalaya Se Nikala
Phir Mai Sidha Andaman Aa Pahucha
Andaman Me Meri Shadi Ki Baat Chali
Jaise Hi Maine Sasu Ji Ko Dekha
Meri Baayi Aankh Chal Gayee
Sasur Ji Kehne Lage Bete Shadi Karne Aaye Ho Meri Beti Se Aur Line Marte Ho Meri Patni Ko
Tabse Main Kunwara Tha
Shayad Bhagvan Ko Mujh Par Taras Aaya
Unhone Mujhe Shivani Se Milaya
Maine Use Apna Haal Bataya
Tab Jake Usne Mujhe Apnaya
Ab Main Shadi Shuda Hoon
Aur Ek Natkhat Chulbuli Beti (Vaibhavi) Ka Baap Hoon…
- Keshav Kumar Singh
Tum Kya Chale Gaye
Tum Kya Chale Gaye,
Baag Se Titliya Chali Gayi
Phool Murjha Gaye
Patte Jal Kar Raakh Hue…
Ab Aur Mat Satao
Garden Mein Paani Dena Hai
Kaam Par Jaldi Aao…
2 Funny Shayaris
Aapke Har Gunah Ki Mafi Hai
Aap Jo Roye To Bahut Na Insaafi Hai
Aapki Aankho Mein Na Aaye Kabhi Pani
Kyunki
Behne Ke Liye To Aapki Naak Hi Kafi Hai…
+++
Taqdir Banane Wale Tune Bhi Had Kar Di
Taqdir Mein Kisi Aur Ka Naam Likha
Aur
Dil Mein Chahat Ek Farebi Ki Bhar Di…
Yeh Ladkiyan

Dard Ka Ehsas Jab Se Ladkiyan Karne Lagi
Uff Ladkon Ki Kismat Dar-Dar Bhatakne Lagi
Husan Ke Phool Ko Perfume Se Mehkaane Wali
Yeh Ladkiyan Murjhayi To Guldaste Se Utarne Lagi…
- Murtazashagird

