अब भी इक उम्र पे जीने का न अंदाज़ आया,
ज़िन्दगी छोड़ दे पीछा मेरा मैं बाज़ आया।
Category: Zindagi Shayari
Aahista Chal Zindagi Shayari
आहिस्ता चल ज़िन्दगी,
कई क़र्ज़ चुकाना बाकी है।
तेरी दौड़ भागते-भागते मैं थक गया हूं,
दम तो लेने दे,
कुछ दर्द मिटाना बाकी है।
मेरे अपने पीछे छूट गए,
कुछ फ़र्ज़ निभाना बाकी है…
Tamaam Umar Shayari
Ae Shamaa Tujh Pe Raat Ye Bhaari Hai Jis Trah,
Maine Tamaam Umar Guzaari Hai Is Trah …
ऐ शमा तुझ पे रात ये भारी है जिस तरह,
मैं ने तमाम उम्र गुज़ारी है इस तरह …
Wahi Chamakta Chaand, Wahi Neela Aasma
Phir Bhi Nazaare Badal Gaye
Wahi Khamosh Raatein, Wahi Jag-Magaatey Sitaare
Phir Bhi Wo Mehfil Guzar Gayi
Wahi Lehrathi Hawa, Bharasti Ye Bharish,
Phir Bhi Wo Lamhe Nahi Rahey
Wahi Guzarthi Zindagi, Wahi Na Kathm Hone Wale Raastey,
Shayad Ab Hum, Hum Nahi Rahey,
Hum, Hum Nahi Rahey…
– Lekha
शायरी नेटवर्क पेश करते हैं एक महान शायर जावेद अख़्तर साहब द्वारा लिखी ग़ज़ल इस ज़िन्दगी के नाम, कृपा अपने विचार और कमेंट जरूर साँझे कीजिये।
Shayari Network presents a great Ghazal written by a great Indian poet Javed Akhtar Sahab upon the life, please share your thoughts and comment.
Ghazal…
Bahana Dhundhte Rehte Hain Koi Rone Ka,
Humein Yeh Shauq Hai Kya Aasteen Bhigone Ka
Agar Palak Per Hai Moti To Ye Nhi Kaafi
Hunar Bhi Chahiye Alfaaz Mein Pirone Ka
Jo Fasal Khwab Ki Taiyaar Hai To Yeh Jaano
Ki Waqt Aa Gya Fir Dard Koi Bone Ka
Yeh Zindagi Bhi Ajab Karobaar Hai
Ki Mujhe Khushi Hai Paane Ki Koi Na Ranj Khone Ka
Hai Chaknachoor Magar Fir Bhi Muskurata Hai
Voh Chehra Jaise Ho Toote Huye Khiline Ka…
– Javed Akhtar
Hindi Script
बहाना ढूँढ़ते रहते हैं कोई रोने का
हमें ये शौक़ है क्या आस्तीन भिगोने का
अगर पलक पर है मोती तो ये नहीं काफ़ी
हुनर भी चाहिए अल्फ़ाज़ में पिरोने का
जो फ़सल ख्वाब की तैयार है तो ये जानो
की वक़्त आ गया फिर दर्द कोई बोने का
ये ज़िन्दगी भी अजब कारोबार है
की मुझे ख़ुशी है पाने की कोई न रंज खोने का
है चकनाचूर मगर फिर भी मुस्कुराता है
वो चेहरा जैसे हो टूटे हुए खिलौने का
– जावेद अख़्तर
क्या सफ़र है ये ज़िन्दगी का या कोई इमितिहान है मेरा,
चली जा रही हूँ, दिये जा रही हूँ।
ना मंज़िल का पता है, ना परिणाम का,
फिर भी जिए जा रही हूँ, उम्मीद किये जा रही हूँ।
कहाँ पहुँचूंगी इस राह में, क्या पाऊँगी इस इम्तिहान से,
इसी सोच में अब मैं नादानियां किये जा रही हूँ।
क्या सफ़र हैं ये ज़िन्दगी का या कोई इम्तिहान है मेरा,
चली जा रही हूँ, दिए जा रही हूँ।
– मोनिका
Zindagi Ne Liya Hai Aisa Imtehan Mera
Sda Sathi Raha Hai Gham-E-Dauran Mera
Din Raat Rehta Hai Dil Pareshan Mera
Us Pe Nahi Hai Haal Ayan Mera
Us Se Baatein To Bauht Kehni Hoti Hain
Us Ke Samne Sath Nahi Deti Zuban Mera
Jo Shakhs Mujhey Saari Duniya Se Aziz Tha
Vohi Loot Kar Le Gya Sara Jahan Mera
Aandhian Charon Simat Mandla Rehi Hain
Kahi Gira Na Dein Wo Ashyaan Mera…
– M. Asghar Mirpuri
Teri Zindagi Mein Kabhi Koi Na Gham Aaye
Tere Muqadar Mein Har Khushi Sanam Aaye
Teri Aarzoo Ka Chaman Sda Mehkta Rahe
Tere Qareeb Na Kabhi Koi Ranj-O-Aalm Aaye
Teri Zindagi Duniya Ki Khushion Se Bhri Rahe
Ghamo Ki Na Kabhi Koi Shaam Aaye
Koi Pareshani Tere Qareeb Na Aane Paye
Teri Zindagi Mein Koi Na Paich-O-Kham Aaye
Asghar Ki Faqat Yehi Tamanna Hai Jana
Ke Tere Sath Mera Bhi Naam, Aaye…
– M. Asghar Mirpuri
Aankh Ashqon Se Khoonbaar Hui Jaati Hai
Zindagi Baes-E-Aazaar Hui Jaati Hai
Hamara Milna Bhi Ab Khawab Lagta Hai
Hamaare Darmiyaan Judai Deewar Hui Jaati Hai
Na Jaane Vasal Ki Shab Kab Aaye Gi
Ab To Saans Bhi Dashwaar Hui Jaati Hai
Main Isey Kaise Zindagi Keh Doon
Jo Basar Tere Bagair Hui Jaati Hai…
– M. Asghar Mirpuri
Raaton Ka Manzar Azeeb Lagta Hai,
Saya Teri Yaadon Ka Kareeb Lagta Hai,
Lahrein Aakar Waapis Ho Jaati Hai,
Woh Sahil Tanha Azeeb Lagta Hai,
Usko Yaadon Ki Keemat Ka Pata Hai,
Tabhi Toh Woh Dil Ka Mareez Lagta Hai,
Woh Sanam Maayus Hai Toh Kya Hua,
Fir Bhi Woh Mera Habeeb Lagta Hai…